kuchh to ehsas-e-ziyan tha pahle dil ka ye haal kahan tha pahle ab to jhonke se laraz uthta hun nashsha-e-khwab-e-giran tha pahle ab to manzil bhi hai khud garm-e-safar har qadam sang-e-nishan tha pahle safar-e-shauq ke farsang na puchh waqt be-qaid makan tha pahle ye alag baat ki gham ras hai ab us mein andesha-e-jaan tha pahle yun na ghabrae hue phirte the dil ajab kunj-e-aman tha pahle ab bhi tu pas nahin hai lekin is qadar dur kahan tha pahle dere dale hain bagulon ne jahan us taraf chashma rawan tha pahle ab wo dariya na wo basti na wo log kya khabar kaun kahan tha pahle har kharaba ye sada deta hai main bhi aabaad makan tha pahle ud gae shakh se ye kah ke tuyur sarw ek shokh jawan tha pahle kya se kya ho gai duniya pyare tu wahin par hai jahan tha pahle hum ne aabaad kiya mulk-e-sukhan kaisa sunsan saman tha pahle hum ne bakhshi hai khamoshi ko zaban dard majbur-e-fughan tha pahle hum ne ijad kiya tesha-e-ashk shoala patthar mein nihan tha pahle hum ne raushan kiya mamura-e-gham warna har samt dhuan tha pahle hum ne mahfuz kiya husn-e-bahaar itr-e-gul sarf-e-khizan tha pahle gham ne phir dil ko jagaya 'nasir' khana-barbaad kahan tha pahle