ojhal hun nigahon se magar dil mein paDe ho

ojhal hun nigahon se magar dil mein pade ho
laila ki tarah kaun se mahmil mein pade ho

dar-parda sahi sehr-e-nazara ke asar se
sau tarah se tum dida-e-ghafil mein pade ho

khulne lage asrar-e-wafa dida-o-dil par
jis din se gham-e-hijr ki mushkil mein pade ho

aawargi-e-dil bhi gai qaid-e-wafa bhi
jis din se mohabbat ke salasil mein pade ho

har lahza badalti hui duniya ke makino
kya jaaniye tum kaun si manzil mein pade ho

kis jurm ki tazir ye kis dhab ki saza hai
lazzat-kash-e-tanhai ho mahfil mein pade ho

kis tarah na fariyaad ka phailaen ye daman
tum gul ho ki har khwab-e-anadil mein pade ho

manzil ki talab sath hi sargarm-e-safar hai
dariya ho magar halqa-e-sahil mein pade ho

har shai mein nazar aata hai khud apna hi chehra
aaine ke tum jaise muqabil mein pade ho

kahta hai 'nadim' aaj mujhe dida-e-bedar
tum barq ho aur khirman-e-hasil mein pade ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close