is iltifat par koi daman na tham le hai maslahat yahi ki taghaful se kaam le kuchh der ki khushi se to behtar hai gham mujhe meri taraf na dekh na mera salam le main bhi to teri bazm mein aaya hun der se ab tu bhi mujh se ho ke khafa intiqam le ji bhar ke pahle apni nazar se pila mujhe warna ye mai-kada le surahi le jam le meri nigah-e-shauq pe phir kijiyo nazar pahle zara khud apne kaleje ko tham le mahfil mein sab ke samne dad-e-ghazal na de yun dil hi dil mein shauq se lutf-e-kalam le jis ne kabhi khulus bhi manga na ho tera is ahl-e-dil ka nam ba-sad-ehtiram le jine na denge dekhne wale kabhi hamein achchha ye hai ki jabr-e-mohabbat se kaam le hai dekhna hi meri taraf to ba-ehtiyat mahfil mein pahle jaeza-e-khas-o-am le tera hun aur tera rahunga tamam umr lekin mere liye na koi ittiham le milna nasib mein hai to mil jaenge kabhi jaan-e-'shamim' sabr-o-tahammul se kaam le