pa-ba-daman ho raha hun bas-ki main sahra-naward

pa-ba-daman ho raha hun bas-ki main sahra-naward
khar-e-pa hain jauhar-e-aina-e-zanu mujhe

dekhna haalat mere dil ki ham-aghoshi ke waqt
hai nigah-e-ashna tera sar-e-har-mu mujhe

hun sarapa saz-e-ahang-e-shikayat kuchh na puchh
hai yahi behtar ki logon mein na chhede tu mujhe

bais-e-wamandgi hai umr-e-fursat-ju mujhe
kar diya hai pa-ba-zanjir-e-ram-e-ahu mujhe

khak-e-fursat bar-sar-e-zauq-e-fana ai intizar
hai ghubar-e-shisha-e-saat ram-e-ahu mujhe

ham-zaban aaya nazar fikr-e-sukhan mein tu mujhe
mardumuk hai tuti-e-aina-e-zanu mujhe

yaad-e-mizhgan mein ba-nashtar-e-zar-e-sauda-e-khayal
chahiye waqt-e-tapish yak-dast sad-pahlu mujhe

iztirab-e-umr be-matlab nahin aakhir ki hai
justuju-e-fursat-e-rabt-e-sar-e-zanu mujhe

chahiye darman-e-rish-e-dil bhi tegh-e-yar se
maram-e-zangar hai wo wasma-e-abru mujhe

kasrat-e-jaur-o-sitam se ho gaya hun be-dimagh
khub-ruyon ne banaya 'ghaalib'-e-bad-khu mujhe

fursat-e-aram-e-ghash hasti hai bohran-e-adam
hai shikast-e-rang-e-imkan gardish-e-pahlu mujhe

saz-e-ima-e-fana hai aalam-e-piri 'asad'
qamat-e-kham se hai hasil shokhi-e-abru mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close