na toko dosto us ki bahaar nam-e-khuda yahi ab ek hai yan gul-ezar nam-e-khuda ye wo sanam hai pari-ru ki jis pe hoti thin hazar jaan se pariyan nisar nam-e-khuda usi sanam ki nigahon ki barchhiyan yaro hui hain mere kaleje ke par nam-e-khuda usi ke nashtar-e-mizhgan mein ab wo tezi hai ki jis se hote hain hum dil-figar nam-e-khuda usi sanam ke rukh o zulf ke tasawwur mein hamari guzre hai lail-o-nahaar nam-e-khuda gali mein kucha o bazar mein hum ab din raat usi ke waste phirte hain khwar nam-e-khuda usi ke sar ki qasam hai ki hum to mar jate agar na hota ye gul-ru nigar nam-e-khuda bane hain yan jo kai dair aur sanam-khane udhar jo jo hota hai us ka guzar nam-e-khuda utha ke sina jhatak bazu aur bana kar dhaj chale hai jis ghadi thokar ko mar nam-e-khuda qadam qadam pe barahman kahen hain bismillah sanam bhi kahte hain sab bar bar nam-e-khuda gharaz jidhar ko nikalta hai ye to har ek ke zaban se nikle hai be-ikhtiyar nam-e-khuda 'nazir' ek ghazal aur kah ki tere sukhan hain ab to sab guhar-e-ab-dar nam-e-khuda