pabandi-e-hisar se aage nikal gae

pabandi-e-hisar se aage nikal gae
nafrat ki zid mein pyar se aage nikal gae

is darja ikhtiyar use khud pe de diya
hum us ke ikhtiyar se aage nikal gae

apne qadam ko apni hi jaanib badha liya
duniya ki har qatar se aage nikal gae

aawaz di gai hamein takhir se bahut
itni ki hum pukar se aage nikal gae

mud kar bhi dekhne ki ijazat nahin mili
hum bhi rah-e-ghubar se aage nikal gae

jo log kar-e-ishq mein masruf ho gae
wo fikr-e-rozgar se aage nikal gae

jina muhaal shahr mein itna hua ki hum
marne ke intizar se aage nikal gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close