pada hai zindagi ke is safar se sabiqa apna jahan chalta hai apne sath khali rasta apna kisi dariya ki surat bah rahi hun apne andar main mera sahil badhata ja raha hai fasla apna luta ke apna chehra tak rahi hun apna munh jaise koi pagal ulat ke dekhta ho aaina apna ye basti log kahte hain mere khwabon ki basti hai ganwa baithi hun mein bad-qismati se hafiza apna gae mausam mein main ne kyun na kati fasl khwabon ki main ab jagi hun jab phal kho chuke hain zaiqa apna fasana-dar-fasana phir rahi hai zindagi jab se kisi ne likh diya hai taq-e-nisyan par pata apna