pada hua main kisi aaine ke ghar mein hun ye tera shahr hai ya khwab ke nagar mein hun udae phirti hai an-dekhe sahilon ki hawa main ek umr se ek be-karan safar mein hun tujhe ye wahm ki main tujh se be-talluq hun mujhe ye dukh ki tere halqa-e-asar mein hun meri talash mein gardan hain tir kirnon ke chhupa hua main khunuk saya-e-shajar mein hun main teri samt bhi aaunga marifat ko teri abhi to apne hi irfan ki rahguzar mein hun teri udan mein shamil hai tarbiyat meri mujhe na bhul ki main tere baal-o-par mein hun bula raha hai udhar mujh ko mera mustaqbil ghira hua main idhar haal ke bhanwar mein hun rakhegi tujh ko moattar sada mahak meri racha hua main tere ghar ke baam-o-dar mein hun meri parakh ko bhi aaenge jauhari 'betab' hun lal-e-nab magar shahr-e-kam-nazar mein hun