meri qismat mein wasl us ka agar ai aasman hota to tu bhi mehrban hota khuda bhi mehrban hota sitam ke baad hota hai karam bhi ye agar sach hai mere dil par bhi aisa hi sitam ai jaan-e-jaan hota balaen le ke dushman mar gaya meri bala samjhe samajh mein meri jab aata tamasha ye yahan hota zamin par sone walon ko hiqarat se na thukraata hamari tarah gardish mein jo tu ai aasman hota chaman udi ghata saqi surahi aur paimana ye sab saman hote shaikh ka phir imtihan hota suna hai fasl-e-gul aai hui phir gulshan-arai chaman mein kash apna bhi qafas ai baghban hota wo mera ro ke kahna un ke 'shankar' hans ke farmana are ulfat mein koi bhi nahin hai shadman hota