pada hun zer-e-qadam khak-e-rahguzar ban kar jhuka hun main hama-tan us gali mein sar ban kar nikal gaya meri aankhon se misl-e-khwa-o-khayal guzar gaya dil-e-raushan se wo nazar ban kar kitab o khat hi ke dhoke mein rah gae aghyar wo yar aap hi aaya payam-bar ban kar kisi ki tegh-e-nigah ne mita diye dhabbe hamare dagh-e-jigar kat gae sipar ban kar 'mazaq' saqi-e-kausar mujhe sambhaalenge nashe mein bigdi tabiat meri agar ban kar