mustahiq wo lazzat-e-gham ka nahin jis ne khud apna lahu chakkha nahin us shajar ke sae mein baitha hun main jis ki shakhon par koi patta nahin kaun deta hai dar-e-dil par sada kah do main bhi ab yahan rahta nahin ban rahe hain sath-e-dil par daere tum ne to patthar koi phenka nahin ungliyan kanton se zakhmi ho gain hath phulon tak abhi pahuncha nahin ek khushbu sath jo pal bhar rahi umr bhar pichha mera chhoda nahin wo maqam-e-fikr hai mera 'ali' jis bulandi tak koi pahuncha nahin