pada tha likhna mujhe khud hi marsiya mera ki mere baad bhala aur kaun tha mera ajib taur ki mujh ko saza sunai gai badan ke neze pe sar rakh diya gaya mera yahi ki sans bhi lene na degi ab mujh ko ziyaada aur bigadegi kya hawa mera main apni ruh liye dar-ba-dar bhatakta raha badan se dur mukammal wajud tha mera mere safar ko to sadiyan guzar gain lekin falak pe ab bhi hai qaem nishan-e-pa mera bas ek bar mila tha mujhe kahin 'azar' bana gaya wo mujhi ko mujassama mera