agar main sach kahun to sabr hi ki aazmaish hai ye mitti imtihan pyare ye pani aazmaish hai nikal kar khud se bahar bhagne se khud mein aane tak farar aakhir hai ye kaisa ye kaisi aazmaish hai talash-e-zat mein hum ko kisi bazar-e-hasti mein tera milna tera khona alag hi aazmaish hai nabud o bud ke phaile hue is kar-khane mein uchhalti kudti duniya hamari aazmaish hai mere dil ke dariche se uchak kar jhankti bahar gulabi ediyon wali anokhi aazmaish hai ye tu jo khud pe nafiz ho gaya hai sham ki surat to jaani sham ki kab hai ye teri aazmaish hai diye ke aur hawaon ke marasim khul nahin pate nahin khulta ki in mein se ye kis ki aazmaish hai