pade the hum bhi jahan raushni mein bikhre hue kai sitare mile us gali mein bikhre hue meri kahani se pahle hi jaan le pyare ki hadse hain meri zindagi mein bikhre hue dhanak si aankh kahe bansuri ki lai mein mujhe sitare dhund ke la naghmagi mein bikhre hue main pur-sukun rahun jhil ki tarah yani kisi khayal kisi khamushi mein bikhre hue wo muskura ke koi baat kar raha tha 'shumar' aur us ke lafz bhi the chandni mein bikhre hue