tamasha phir sar-e-bazar karna phir apne ahd se inkar karna yahi hai mashghala kar-e-junun mein banana phir use mismar karna fareb-e-arzu hi zindagi hai sarabon mein safar be-kar karna jise pane ki khwahish mein jiye the usi ki zat ka inkar karna jazire khwahishon ki rah mein hain magar lazim samundar par karna jise ek umr ki kawish se bhule usi ki yaad pur-asrar karna darichon se lagi aankhon ki surat kabhi chhupna kabhi izhaar karna abhi ek aakhiri sach bolna hai khushi se phir supurd-dar karna