padh rahe the wo lab-e-hur hamara qissa yun hi thodi hua mashhur hamara qissa sirf ek aib nikala tha ghalat-fahmi ne ho gaya hum se bahut dur hamara qissa aagin yaaden teri hath mein marham le kar jab bhi banne laga nasur hamara qissa hum wo jugnun hain kisi waqt kisi se sun kar ro padi thi shab-e-dijur hamara qissa khamushi ne unhen honton pe kiya apna qayam yaad jin jin ko tha bharpur hamara qissa 'faiz' jo ped lagaya hai adab ka hum ne jari rakhega ba-dastur hamara qissa