paDhi gai na wo tahrir-e-gham jabinon se

padhi gai na wo tahrir-e-gham jabinon se
jo ponchhti rahi ashkon ko aastinon se

kabhi na degi sahaara shikastagi dil ki
safar na kijiye tute hue safinon se

tere khayal ki barish mein bhigne ke liye
taras rahe hain asiran-e-dil mahinon se

samajh na paenge ye zahidan-e-sada dil
dilon mein aag bhadakti hai aabginon se

shikast-e-jam muqaddar ko manne wale
sharab koi ho banti hai wo pasinon se

bujhe charagh sitaron ke dil laraz utthe
nigar-e-subh utarne lagi hai zinon se

unhen sanbhaalne mein umr kat gai hai 'fahim'
hamari sipiyan kuchh kam nahin naginon se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close