pareshani kahan ki aur sukun kya yahi hai zindagi to sar dhunun kya koi sunta nahin shishon ke ghar mein tumhaare shahr mein patthar chunun kya jinhen ginne mein tuti sans dori unhin sanson ka jurmana bharun kya kisi zalim ke aage sar jhukaun buzurgon ki riwayat tod dun kya mere dast-e-talab ko rokti hai bata ai muflisi aakhir karun kya khuda se is liye manga nahin kuchh wo sab kuchh jaanta hai main kahun kya karun kya pairwi ahl-e-hawas ki teri jaanib qadam gin kar rakhun kya