padhiye sabaq yahi hai wafa ki kitab ka kante kara rahe hain taaruf gulab ka kaisa ye intishaar diyon ki safon mein hai kuchh to asar hua hai hawa ke khitab ka ye tai kiya jo main ne junun tak main jaunga ye marhala aham hai mere iztirab ka mana bahut hasin tha wo umr ka padaw qissa magar na chhediye ahd-e-shabab ka 'azhar' kahin se nind ka ab kije intizam yunhi nikal na jae ye mausam bhi khwab ka