silsila yun bhi rawa rakkha shanasai ka koi rishta to rahe aankh se binai ka tabsira khub yahan tir ki raftar pe hai tazkira kaun kare zakhm ki gahrai ka mohtaram kah ke mujhe us ne pasheman kiya koi pahlu na mila jab meri ruswai ka tang aa kar teri yaadon ko pare jhatka hai marsiya kaun padhe roz ki tanhai ka apne zakhmon se gila hai mujhe itna 'azhar' main ne ehsan utha rakkha hai purwai ka