padi jo zarb-e-talatum rag-e-hasin pe ek main aasman mein kai tha gira zamin pe ek kahin qarib phatakta na tha mera saya liye uqab wo chalta tha aastin pe ek simat simat gaya har waqiye ka pairahan na thi tilism ki tah chashm-e-khurdbin pe ek akela khud tha mujhe kyon qusur-war kiya likha jo shoala-e-jawwala se jabin pe ek ruton ko kuchh na mila ek zaiqe ke siwa nahif jism ye bhaari kabhi tha tin pe ek libas taj ke ajab bebasi mein the ashjar wo azhdaha sa tadapta raha zamin pe ek usi ke shor ke pichhe garajte the baadal ajib bund thi tapki thi ghar ke tin pe ek