raat be-tarah dhadka aasman ka sina kahkashan sirhane thi tutta tha aaina saya saya utra hai khauf aasmanon se ku-ba-ku bhatakti hai ek hawa-e-na-bina pad gaya hai dam lene manda-e-nafas koi khwab-sokhta lamhe khak bistar-e-kina bawdi hawaon mein tutne se gumbad ke dekhiye kahan pahunche ab khula hua zina phut phut kar tanha roi aabla-pai har qadam pe ruk ruk kar rah ka lahu pina ug rahi hain aankhon mein aarzu ki chattanen rassiyon mein shal bazu shang kohkan jina kar-zar dam le le munjamid hai bu-e-khun baj chuke rabab-o-daf chup hai qulqul-e-mina