pagal si hawa Dhalti hui sham samundar

pagal si hawa dhalti hui sham samundar
aise hi kahin le na tera nam samundar

viranon mein bhatken ki tere shahr mein thahren
aankhon mein dar aata hai sar-e-sham samundar

hai taza hawaon pe ye ilzam ki chup hain
kuchh aisa hi tujh par bhi hai ilzam samundar

kaghaz ki bani naw mein baithe hue hum log
girdab se nikle hain zara tham samundar

de izn ki pani pe makan apne banaen
ab sari zamin ho gai nilam samundar

sunte hain wahan aks ubharte hain badan ke
chalte hain chalo hum bhi sar-e-sham samundar

kis waqt zamin mere qadam lene lagi hai
jab rah gaya mitti se bas ek gam samundar

tu aks-e-falak hai to falak aaina tera
ek raqs-e-musalsal hai tera kaam samundar

chadhte hue dariya hon ki sukhi hui nahren
rakhte hain tere sar sabhi ilzam samundar

kya bhar gae pani se labaalab ki 'matin' aaj
dene lage sahraon ko dushnam samundar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close