pahadon ki bulandi par khada hun zamin walon ko chhota lag raha hun har ek raste pe khud ko dhundhta hun main apne aap se bichhda hua hun bhare shahron mein dil darne laga tha ab aa kar jangalon mein bas gaya hun tu hi markaz hai meri zindagi ka tere atraf misl-e-daera hun ujale jab se katrane lage hain siyah-raaton ka sathi ban gaya hun marahim shakl kab ka mar chuka hai mujhe mat chhediye main dusra hun