na dhalti sham na thandi sahar mein rakkha hai safar ka lutf kadi dopahar mein rakkha hai judaiyon ke manazir hain ab bhi yaadon mein bichhadte waqt ka lamha nazar mein rakkha hai bacha bacha ke ghani chhanw ko teri khatir tamam umr badan ke shajar mein rakkha hai tumhaare nam ko likkha hai paikar-e-gul par tumhaari yaad ko khushbu ke ghar mein rakkha hai kabhi sukun se jine nahin diya us ne wo ek ishq ka sauda jo sar mein rakkha hai phir ek bar lutana hai karwan dil ka qadam ko phir se teri rahguzar mein rakkha hai 'khumar' kis ne kiya phir se dar-ba-dar mujh ko ye kis ne mujh ko musalsal safar mein rakkha hai