pahla sa kyon na aah mein meri asar raha kyon iztirab-e-shauq se wo be-khabar raha shayad jahan-e-shauq tilism-e-khayal hai ek lamha-bhar ka khwab ki bas lamha-bhar raha ja bhi chuka wo phul si khushbu bikher kar main justuju mein kyon tah-e-gard-e-safar raha main ne sabhi ke dard mein khud ko kiya halak ye bhi to ek gunah tha jo mere sar raha meri ye aarzu ki khalaon ko sar karun lekin main wo parind ki be-baal-o-par raha wo bhi to jaanta ki mohabbat hai kya bala kyon sina us ka mere khuda be-sharar raha