naghmagi shahr ki jangal ka fusun bhi ghaeb jitni raftar badhi utna sukun bhi ghaeb asp-e-idrak mera mujh ko kahan le aaya khush-khayali bhi dhuan jazb-e-junun bhi ghaeb aur ab le gaya aa kar wo shuur-o-ehsas daulat-e-khwab to thi pahle se yun bhi ghaeb barf ab ke ye jami kaisi ragon mein apni jism ki aag bhi gum soz-e-darun bhi ghaeb kisht-e-jaan sokhta viran hai dayar-e-dil bhi yani mujh se wo mera haal-e-zabun bhi ghaeb zindagi lai kahan hum ko batao 'jawed' aankh hairat se tahi dil se hai khun bhi ghaeb