pahle banti hi na thi baat so ab banti hai aaj-kal un ke tasawwur se ghazab banti hai chaliye chal kar kahin dhunde koi ujdi hui raat apni in chand sitaron se to kab banti hai nafs jab ruh pe hawi ho to phir wahshat mein tishnagi dekhiye qurbat ka sabab banti hai surmai sham mein suraj ka lahu mil jae tab kahin ja ke meri jaan ye shab banti hai phir sambhaale na sambhalti hai agar bigde to aur bigade na bigadti hai ki jab banti hai pahle pahle to kisi khel si lagti hai magar sar pe chadh jae mohabbat to talab banti hai aashiqi had se guzarti hai tabhi ja ke 'shahab' qais-o-farhad ka ranjhe ka laqab banti hai