kahan se aa gaya kahan ye sham bhi kahan hui na ham-nafas na ham-zaban ye sham bhi kahan hui bujhi nazar bujhe qadam na rahbar na ham-safar na rahguzar na karwan ye sham bhi kahan hui na sham-e-dil na shama-e-rukh nujum-e-shab na mah-e-shab nigah-o-dil dhuan dhuan ye sham bhi kahan hui na gesuon ki chhanw hai na aarizon ki chandni na mang ki wo kahkashan ye sham bhi kahan hui hayat-e-gham ke bojh se dabi dabi thaki thaki luti luti si bazm-e-jaan ye sham bhi kahan hui lagi hai jaise aag si chita mein jal raha hun main pighal rahe hain jism-o-jaan ye sham bhi kahan hui 'payam' us maqam par hai aaj dil ka karwan jahan zamin na aasman ye sham bhi kahan hui