pahle be-yar-o-madadgar kiya jata hai phir hamein barsar-e-paikar kiya jata hai jaane kya budhe darakhton pe guzarti hogi jab parindon ko giraftar kiya jata hai jab bhi aata hai unhen apni khudai ka khayal hum gharibon ko gunahgar kiya jata hai log khwabon ke ewaz nind chura lete hain sone walon ko khabar-dar kiya jata hai jab bhi hum log firasat ki sai karte hain phir se ek aadh chamatkar kiya jata hai