pahle chingari se ek shola banata hai mujhe

pahle chingari se ek shola banata hai mujhe
phir wahi tez hawaon se daraata hai mujhe

bain karte hue is raat ke sannate mein
dasht se ghar ki taraf kaun bulata hai mujhe

gard hote hue chehre se milane ke liye
aaina-khane mein koi liye jaata hai mujhe

sham hoti hai to mera hi fasana aksar
wo jo tuta hua tara hai sunata hai mujhe

reg-e-sahra se talluq ko badha deta hai
khwab mein jab bhi wo dariya nazar aata hai mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close