zindagi ek khwab hai ye khwab ki tabir hai halqa-e-gesu-e-duniya panw ki zanjir hai kuchh nahin is ke siwa mere tasarruf mein yahan dil ka bas jitna ilaqa dard ki jagir hai putliyan aankhon ki sakit ho gain padhte hue aasman par kis zaban mein jaane kya tahrir hai mujh ko goyai pe uksaya tha dil ne ek bar aaj tak honton pe qaem lazzat-e-taqrir hai ab na jaane kis taraf le jaen wahshi aandhiyan shakh se tuta hua patta bahut dil-gir hai sab bahadur hain yahan zikr-e-ajal hone talak buz-dili is ko kahun ya khun ki tasir hai