pahle ek shakhs meri zat bana aur phir puri kaenat bana husn ne khud kaha musawwir se panw par mere koi hath bana pyas ki saltanat nahin mitti lakh dajle bana furaat bana gham ka suraj wo de gaya tujh ko chahe ab din bana ki raat bana sher ek mashghala tha 'qasir' ka ab yahi maqsad-e-hayat bana