tuta hai purana sada pul lafzon ka ab rishta hai duniya se faqat aankhon ka wo bhul gae hain to ajab kya is mein tha khel ye to guzre hue lamhon ka ek lamhe mein sab khatm hai mazi ho ki haal yaadon ka khazana tha bahut barson ka sab log hamein ek nazar aate hain andaza nahin hota hai ab chehron ka 'mamun' hain baaten hawa ka jhonka hum ko to bharosa hi nahin baaton ka