pahle hum us ki mahfil mein jaane se katrae to lekin kya kije jab dil ki shamat hi aa jae to is jhagde mein ham-sayon ki dakhl-andazi wajib hai buniyaadi mauzua yahi tha jag pade ham-sae to ghazlon mein rangini lane ki babat phir sochunga pahle ye batla do us ne chhup kar tir chalae to khud milne ki khwahish karna albatta manzur nahin waise hum kam-zarf nahin hain wo zahmat farmae to apna haq hasil karne ki khatir main bhi chalta hun mera tera sath na hoga hath agar phailae to us ki khaslat bhanp chuka hun baaten hans kar talega aur yaqinan baat banegi baaton par jhallae to log 'muzaffar'-hanafi ko bhi pabandi se padhte hain chikni-chapdi ghazlen padhte padhte ji uktae to