subh khud bataegi tirgi kahan jae ye charagh ki jhuti raushni kahan jae jo nasheb aaega rasta dikhaega mod khud bataega aadmi kahan jae badh ke do qadam tu hi us ki pith halki kar ye thaka musafir ai rahzani kahan jae ha-o-hu ki duniya mein ma-o-tu ki duniya mein rang o bu ki duniya mein sadgi kahan jae be-talluqi maslak ho chuka hai duniya ka dosti kahan jae dushmani kahan jae ab to dhup aa pahunchi jhadiyon ke andar bhi ab panah lene ko tirgi kahan jae karwan ne chulhon mein jhonk di ghani shakhen ab kahin nahin saya khastagi kahan jae zakhm-e-dil to kya doge dagh-e-sajda hi de do ab tumhaari chaukhat se 'mazhari' kahan jae