pahle inkar bahut karta hai baad mein pyar bahut karta hai chum kar jalti hui peshani wo gunahgar bahut karta hai man leta hai wo sari baaten phir bhi takrar bahut karta hai ghar se bahar nahin aata lekin haar-singhaar bahut karta hai zard patton ka sunahra mausam mujh ko bimar bahut karta hai ek bosa ho ya aansu 'qaisar' chehra gulnar bahut karta hai