kahan tak jafa husn walon ki sahte jawani jo rahti to phir hum na rahte lahu tha tamanna ka aansu nahin the bahae na jate to hargiz na bahte wafa bhi na hota to achchha tha wada ghadi do ghadi to kabhi shad rahte hujum-e-tamanna se ghutte the dil mein jo main rokta bhi to nale na rahte main jagunga kab tak wo soen ge ta-kai kabhi chikh utthunga gham sahte sahte batate hain aansu ki ab dil nahin hai jo pani na hota to dariya na bahte zamana bade shauq se sun raha tha hamin so gae dastan kahte kahte koi naqsh aur koi diwar samjha zamana hua mujh ko chup rahte rahte meri naw is gham ke dariya mein 'saqib' kinare pe aa hi lagi bahte bahte