pahle kuchh din mere zaKHmon ki numaish hogi

pahle kuchh din mere zakhmon ki numaish hogi
phir mere haal pe us but ki nawazish hogi

han ba-zahir to dhara jaega qatil lekin
pas-e-parda usi qatil ki sifarish hogi

pyasi dharti yunhi pyasi hi rahegi yaro
aur dariya pe musalsal yahan barish hogi

jis tarah tute hue patte bikhar jate hain
hum bikhar jaen usi taur ye sazish hogi

kis ko malum hai jo raaz-e-mashiyyat hai 'obaid'
jaane kis baat pe kis shakhs ki bakhshish hogi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close