pur-kaif kahin ke bhi nazare na rahenge duniya mein agar ishq ke mare na rahenge duniya-e-mohabbat mein charaghan na milega palkon pe agar ashk hamare na rahenge tum chhod ke mat jao mujhe shahr-e-bala mein warna mere jine ke sahaare na rahenge tai kar lo safar shab ka ki mauqa hai ghanimat phir charkh-e-barin pe ye sitare na rahenge gham zist ke afsane ka unwan hasin hai hum honge kahan gham jo hamare na rahenge be-mani nazar aaenge aaankhon ke sahife maujud agar un mein ishaare na rahenge phir kis pe yaqin kaisa bharam kaisi murawwat aaza bhi hamare jo hamare na rahenge