pahle mujh par bahut fida hona us ki chahat ka phir fana hona ye bhi bakhiye udhed deti hai us ko halka na le hawa hona khud ko mahrum-e-raushni rakh kar kitna mushkil hai ek diya hona is suhulat se zindagi kati mujh ko aaya na parsa hona tu meri mushkilat kya samjhe tujh ko aata hai bas khuda hona meri tartib se rahi nalan zist ko aa gaya khafa hona us ke jiwan mein aa gaya koi kha gaya mujh ko dusra hona