pahle pahle shauhar ko har mausam bhiga lagta hai

pahle pahle shauhar ko har mausam bhiga lagta hai
yun samjho billi ke bhagon tuta chhika lagta hai

phika lunch aur dinner bhi umda aur tikha lagta hai
naqli tel mein tala samosa asli ghi ka lagta hai

shadi ek chewing-gum hai jo pahle mitha lagta hai
phir munh mein jitna ghologe utna phika lagta hai

aqad hua jab mera us dam koi chhinka lagta hai
aaine mein mera chehra aur kisi ka lagta hai

mahfil mein jab ghura un ko ek saheli yun boli
biwi ko takta rahta hai mua na-dida lagta hai

'khwah-makhwah' na mera hi na aur kisi ka lagta hai
jitne shauhar baithe hain ye haal sabhi ka lagta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close