dil se dil ka rasta bhi aazmana chahiye

dil se dil ka rasta bhi aazmana chahiye
ruth jae koi to us ko manana chahiye

baad muddat ke wo mil jae kisi mahfil mein to
haal apna bhi use phir kuchh sunana chahiye

zindagi jab chhed deti hai ghalat dhun koi bhi
bahr ya phir qafiya is mein lagana chahiye

yun to aandhi mein diya raushan rahe mumkin nahin
kuchh mohabbat ke charaghon ko jalana chahiye

wo tajahul hai jo hum se is tarah mahfil mein ab
us kei is harakat ko chupke se chhupana chahiye

chhod kar chahe chala jae wo kuchh bole bina
apne hisse kei wafa hum ko nibhana chahiye

roz qasid dekhta rahta hun qasid kei dagar
koi un kei bhi jawabi khat to aana chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close