pahle paidal paidal jaya karte the

pahle paidal paidal jaya karte the
phir donon ek bas mein baitha karte the

wo zulfon ko pichhe karti rahti thi
phir bhi us ke gesu bikhra karte the

wo awwal thi padhne-likhne mein aur hum
pichhe sab se pichhe baitha karte the

nam pukara jata tha jab us ka to
yes-sir yes-sir hum bhi bola karte the

duhre kaam ki aadat bachpan se hi thi
us ki copy bhi hum likkha karte the

us ki nazren rahti thin bas teacher par
hum to kewal us ko dekha karte the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close