zara soz-e-dil bazm ka saz dena ki khud bolna hai khud aawaz dena ajab zauq-e-pinhan hai rang-e-tapish mein tasalli na ai shokh-andaz dena kabhi dhundhna go shaha-e-haram mein kabhi dair mein ja ke aawaz dena gulon ke hain aaghosh wa bahr-e-rukhsat zara badh ke bulbul ko aawaz dena na le mera iman ai be-niyazi ki hai nazr jalwa-gah-e-naz dena khayaban khayaban mein paiham tajassus bayaban bayaban mein aawaz dena udhar meri tauba ki dhaaras bandhana idhar mujh ko saghar ba-sad-naz dena hai gum-karda rah-e-mohabbat mein 'saqib' zara mud ke phir us ko aawaz dena