pahle sharma ke mar dala phir samne aa ke mar dala saqi na pilai tune aakhir tarsa tarsa ke mar dala isa the to marne hi na dete tum ne to jila ke mar dala bimar-e-alam ko tu ne naseh samjha samjha ke mar dala khanjar kaisa faqat ada se tadpa tadpa ke mar dala yaad-e-gesu ne hijr ki shab uljha uljha ke mar dala furqat mein tere gham-o-alam ne tanha mujhe pa ke mar dala khanjar na mila to us ne 'bedam' aankhen dikhla ke mar dala