pahle tha koi ki thi jis se mohabbat mujh ko ba-khuda ab to kisi se nahin ulfat mujh ko khub-ru ab to nazar mein koi jachta hi nahin bha gai jab se teri sanwli surat mujh ko wada aane ka hai kal dekho zara aa jaana warna be-chain karegi shab-e-furqat mujh ko ghair se aath pahar aap mila karte hain hai ye andher dikhate nahin surat mujh ko jab se tarif main karta hun payambar 'sanjar' nazar aane lagi in aankhon se jannat mujh ko