tir-e-nigah-e-naz ka ghayal jigar nahin dil khana-e-khuda hai kisi but ka ghar nahin main ne kaha ki main fida kya aap par nahin bole wo hans ke han mujhe is ki khabar nahin ummid hi nahin hai ki aaen wo rah par phuta nasib hi mera jab rah par nahin ulfat ki rah mein to bhatakna zarur hai ye rah wo hai jis mein koi rahbar nahin insan ke dil mein dair-o-haram mein kalisa mein wo kaun ghar hai jis mein tumhaara guzar nahin ye bhi tere jamal ka adna jamal hai suraj pe jo thaharti kisi ki nazar nahin gham ki kati jo raat to rahat ki subh hai wo sham sham kya hai ki jis ki sahar nahin chhup-chhup ke jab dikhate ho husn-o-ada-o-naz parde se phir nikalte kyon apna sar nahin 'sanjar' likhun jo nama unhen le ke jae kaun apna to koi raaz-dan paighambar nahin