pahle to bahut gardish-e-dauran se lada hun ab kis ki tamanna hai jo maqtal mein khada hun go qadr meri bazm-e-sukhan mein nahin lekin hire ki tarah fan ki anguthi mein jada hun khairaat mein bante the jahan main ne sitare khud aaj wahin kas-e-shab le ke khada hun hota koi patthar bhi to kaam aata junun ke tuta hua shisha hun sar-e-rah pada hun simtun to kisi sip ke sine mein sama jaun ai 'prem' jo phailun to samundar se bada hun