phir fikr-e-sukhan main kar raha hun aflak se main guzar raha hun lafzon ke khila raha hun ghunche zulmat mein sitare bhar raha hun ye shams-o-qamar hain dekhe-bhaale in sab ka main ham-safar raha hun mitti se janam janam ka rishta dharti ka singar kar raha hun jannat meri fikr ki hai mearaj dozakh se to main guzar raha hun duniya ke qaside main ne likhe bas apna hi nauhagar raha hun sab ki hai khabar 'sarosh' lekin main khud se hi be-khabar raha hun